Mass Masala ( Nakshatram ) Hindi Dubbed | Full movie Review

Mass Masala ( Hindi Dubbed ) - Nakshatram Telugu Full movie Review in Hindi.

Mass Masala Hindi Dubbed movie
Mass Masala Hindi Dubbed - Movie Review
( PS: Kuch personal problems ki vajah se movie ke review ke video nhi bana paya, aur ye review film ke Telugu version ko dekhne ke baad de raha hu. )

 Movie:
 Nakshatram ( Mass Masala )
 Language:
 Telugu
 Cast:
  • Sundeep Kishan
  • Sai Dharam Tej
  • Regina Cassandra
  • Pragya Jaiswal
  • Taneesh
  • Prakash Raj

 Hindi Dubbed version:
 Titled as Mass Masala and television premiere on Zee Cinema
 Director:
 Krishna Vamsi
 Music:
 Mani Sharma
 Release Date:
 Aug 4, 2017, in Telugu & 31 May 2019 in Hindi Dubbed

Story of Mass Masala:

  • Film ke Telugu version mai Sundeep Kishan ka naam hota hai Rama Rao. To Rama Rao yani ki Sundeep Kishan ek police officer banana chata hai aur uske andar police banne ka jazba aur joonon dona bharpur hai, kyu ki uske pitaji aur uske Dadaji dono hi police officer the. Aur phir Rama Rao kadi mehnat karke Jaise-Taise badi muibatto ke baad apna examination clear karta hai. Phir movie mai kuch esa hota hai jis wajah se vo police officer nhi ban pata hai, ap vo chizz kya hai - Kyu Rama Rao ( Sundeep Kishan ) police officer nhi ban pata hai? aur uske baad vo kya karta hai? ye jaan ne ke liye aapko film dekhna hoga.

Plus Points:

  1. Mass Masala - iss movie ka sabse bada plus point hai iss movie Sundeep Kishan ki acting. Movie ko kaafi had tak Sundeep Kishan apne acting ke dum pe bacha le jaate hai.
  2. Iss ke alava iss movie mai Alexandar ( Sai Dharam Tej ) ka jo character aapko jaroor impress karega.
  3. Film mai kuch ache twist hai, jinhe agar aap predict nhi kar paaoge to aap ko bohot maja bhi aayega. Iss ke alava mujhe film mai kuch major plus points nhi dikhe, lekin ha Telugu version aapko kaafi ache dialouges bhi sunne ko milege, lekin Hindi dubbed version mai kya hoga kuch keh nahi sakte.


Minus Points:

  1. Film ki story bohot is kamzor aur predictable hai, jis wajha movie aapko kaafi jagaho par bohot jada bor bhi kar deti hai.
  2. Esa lagta hai ki, Film ki dono actresses ka kuch bhi khas kaam tha nhi movie mai.
  3. Film ki story kaafi purani kisam ki lagti hai aur screenplay bhi kaafi jada kharab hai, aur kaafi jagho par aapko bohot se illogical scenes bhi milenge.

Hindi Dubbed version:

Maine film ko Hindi dubbed version mai dekha to nahi hai, par jo promo aaye the TV par use dekh kar esa lagta hai ki iss baar bhi movie dubbing kuch khaas nhi hui hai, aur sayad ek baar phir hum dubbing se niraash hone wale hai.

Mass Masala - Final Verdict:

To kul mila ke kaha jaaye to, Mass Masala ( Nakshatram ) ek thik thak movie hai, jo ek tarah ke audience ko hi pasand aayegi, lekin phir bhi sabhiko ek baar iss movie ko iske naye concept aur Sundeep Kishan ki acting ke liye ek baar jaroor dekhna chaiye. Lekin agar aapko movie se bohot zada expectation hai, to ye movie aapko bohot zada niraash karegi. Lekin mujhe ye lagta hai ki Hindi audience ko movie jaroor pasand aayegi. Mere taraf se movie ko 3/5*.

Watch Mass Masala movie:

Mass Masala ka Telugu version, yaani ki Nakshatram, Zee 5 ke official website aur app par available hai. To sayad television premier ke kuch din baad movie ka Hindi Dubbed version bhi Zee 5 par available ho sakta. Filhal to movie ka YouTube pe release hone ke koi chances nhi hai, to kosis kijiyega ki aap television premiere ko miss na kare. Aur vese bhi movie dowloading sites par movie television premiere ke baad HD mai mil hi jaayegi.

Post a Comment

0 Comments